ik nashtar-e-nazar ke talabgār ham bhī haiñ
daatā ho tum ġhamoñ ke to ġham-ḳhvār ham bhī haiñ
hairāñ khaḌe hue unhīñ rāhoñ meñ haiñ hanūz
ai rahravān-e-kūcha-e-dil-dār ham bhī haiñ
dariyā samajh liyā jise niklā vahī sarāb
ik harf-e-tishnagī ke gunahgār ham bhī haiñ
muñh rāh-e-najd-e-shauq se moḌā nahīñ abhī
haañ jurm-e-ḳhastagī ke ḳhatāvār ham bhī haiñ
is baaġh meñ ki zāġh-o-zaġhan haiñ amīn-e-gul
ḳhāmosh dekhne ke sazā-vār ham bhī haiñ