vafā-o-mehr-o-altāf-o-karam the ham-ināñ kyā kyā
hue haiñ apne hī dil se magar ham bad-gumāñ kyā kyā
par-e-parvāz niilā āsmāñ manzil sitāroñ kī
kaTe shahpar to yaad aane lagīñ jaulāniyāñ kyā kyā
ye apnā dil jo ab āseb-e-ḳhāmoshī kā maskan hai
kabhī guzre the is suunī Dagar se kārvāñ kyā kyā
sukūt-e-nīm-shab kī āhaTeñ aur raat kā jaadū
ye manzar saath le aayā tirī dildāriyāñ kyā kyā
jahāñ ahl-e-nazar ahl-e-hunar kī hukmarānī thī
vahāñ minqār-e-zer-e-par haiñ baiThe nukta-dāñ kyā kyā
ab apne ghar kā bhī ahvāl lab par lā nahīñ sakte
kiyā karte the ham ahvāl-e-ālam kā bayāñ kyā kyā
ajab tīra-shabī se ab rah-o-rasm-e-junūñ Thahrī
hue nisyāñ ke parde meñ mah-o-anjum nihāñ kyā kyā