Sajida Zaidi

saba mein mast-KHirami gulon mein bu na rahe

Sajida Zaidi

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2011
sabā meñ mast-ḳhirāmī guloñ meñ bū na rahe
tirā ḳhayāl agar dil ke rū-ba-rū na rahe
tire baġhair har ik aarzū adhūrī hai
jo tū mile to mujhe koī aarzū na rahe
hai justujū meñ tirī ik jahāñ kā dard-o-nishāt
to kyā ajab ki koī aur justujū na rahe
tirī talab se ibārat hai soz-o-hayāt
ho sard ātish-e-hastī jo dil meñ tū na rahe
tū zauq-e-kam-talabī hai to aarzū kā shabāb
hai yuuñ ki tū rahe aur koī justujū na rahe
kitāb-e-umr kā har baab be-maza ho jaa.e
jo dard maiñ na rahūñ aur daaġh tū na rahe
ḳhudā kare na vo uftād aa paḌe ham par
ki jān-o-dil raheñ aur terī aarzū na rahe
tire ḳhayāl kī mai dil meñ yuuñ utārī hai
kabhī sharāb se ḳhālī mirā subū na rahe
vo dasht-e-dard sahī tum se vāsta to rahe
rahe ye sāya-e-gesū-e-mushk-bū na rahe
karo hamāre hī dāġhoñ se raushnī tum bhī
baḌā hai dard kā rishta duī kī bū na rahe
nahīñ qarār kī lazzat se āshnā ye vajūd
vo ḳhaak merī nahīñ hai jo kū-ba-kū na rahe
is iltihāb meñ kaise ġhazal-sarā ho koī
ki sāz-e-dil na rahe ḳhū-e-naġhma-jū na rahe
safar tavīl hai is umr-e-sho.ala-sāmāñ kā
vo kyā kare jise jiine kī aarzū na rahe
Top Urdushayar.com