Sajida Zaidi

hayat ki be-ruKHi nai hai na apni kam-maegi nai hai

Sajida Zaidi

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2011
hayāt kī be-ruḳhī na.ī hai na apnī kam-mā.egī na.ī hai
phir aaj jazbāt-e-ġham kī maujoñ meñ kaisī ye bekalī na.ī hai
na jaane harf-e-talab hai nādim ki be-zabānī zabāñ hai apnī
dhaḌak rahā hai dil-e-tamannā ki manzil-e-āshiqī na.ī hai
vahī hai jaada vahī safar hai vahī hai manzar vahī nazar hai
magar ba-andāz-e-āshnā.ī hamārī vāraftagī na.ī hai
zavāl-e-hastī ke nauha-ḳhvāñ the koī hamārī zabāñ na samjhā
bujhe haiñ sīnoñ meñ dil sabhī ke ki apnī āshuftagī na.ī hai
jo harf dil par raqam kiye the vo le uḌeñ yaas kī havā.eñ
ab is bayābān-e-ārzū meñ hamārī bechārgī na.ī hai
na koī dard-āshnā na hamdam na koī soz-e-darūñ kā mahram
hameñ yahāñ ajnabī haiñ jaane ki saarī duniyā na.ī na.ī hai
maiñ naqd-e-jāñ tak luTā chukī thī nafas meñ sho.ale jalā chukī thī
tilism-e-ḳhvāb ab kahāñ se aayā ye manzil-e-be-ḳhudī na.ī hai
Top Urdushayar.com