Sajida Zaidi

raat gahri hai to phir gham bhi farawan honge

Sajida Zaidi

Meerut, Uttar pradesh, India

1927-2011
raat gahrī hai to phir ġham bhī farāvāñ hoñge
kitne bujhte hue taare sar-e-mizhgāñ hoñge
qahr hai sā.at-e-mahshar hai ki kohrām-e-fanā
ḳhaak is shahr-e-fanā-kosh meñ insāñ hoñge
shahr ho dasht ho mahfil ho ki vīrāna ho
ham jahāñ jaa.eñ vahī ḳhār-e-muġhīlāñ hoñge
kaise is shahr-e-ḳharābī meñ basar kī ham ne
kal jo ā.eñge vo añgusht-ba-dandāñ hoñge
shaam se dil meñ tarāzū hai koī tīr-e-sitam
raat guzregī na ḳhvāboñ ke shabistāñ hoñge
diid kā bār-e-amānat na uThegā us shab
ḳhūñ-chakāñ sub.h talak dīda-e-hairāñ hoñge
fikr mahbūs huī harf-e-duā guñg huā
ahl-e-īmān-o-nazar ḳhāk-ba-damāñ hoñge
Top Urdushayar.com