ḳhayāl-e-sub.h kī ra.anā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ
añdherī raat kī tanhā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ
kabhī jām-e-tarab kī samt dast-e-shauq baḌhtā hai
to us kām-o-dahan kī talḳhiyāñ kuchh aur kahtī haiñ
mirī nazroñ kī pahnā.ī meñ haiñ ajzā-e-do-ālam
gumān-o-vaham kī parchhā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ
farāġhat chāhtī hai zindagī do-chār lamhe kī
magar rāh-e-vafā kī saḳhtiyāñ kuchh aur kahtī haiñ
mirī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ Kyayāl-e-sub.h-e-fardā hai
dil-e-bedār kī ḳhāmoshiyāñ kuchh aur kahtī haiñ