shikasta ḳhvāb ke malbe meñ DhūñDhtā kyā hai
khañDar khañDar hai yahāñ dhuul ke sivā kyā hai
nazar kī dhund meñ haiñ bhūlī-bisrī tasvīreñ
palaT ke dekhne vaale ye dekhnā kyā hai
abhī to kaaT rahī hai har ek saañs kī dhaar
azal jab aa.e to dekhūñ ki intihā kyā hai
rahegī dhuup mire sar pe āḳhirī din tak
javāñ hai peḌ magar us kā aasrā kyā hai
tujhe pasand kahāñ haal pūchhnā merā
tirī nigāh meñ lekin savāl sā kyā hai
dhuāñ nahīñ na sahī aag to nazar aa.e
yuuñ chupke chupke sulagne se fā.eda kyā hai
udaas raat kī ḳhāmoshiyoñ meñ ai 'qaisar'
qarīb aatī huī duur kī sadā kyā hai