thoḌī sī shohrat bhī milī hai thoḌī sī badnāmī bhī
merī sīrat meñ ai 'qaisar' ḳhūbī bhī hai ḳhāmī bhī
kitne āshiq sambhal ga.e haiñ merā fasāna sun sun kar
mere haq meñ jaisī bhī ho kaam kī hai nākāmī bhī
mahfil mahfil zikr hamārā soch samajh ke kar vaa.iz
apne muḳhālif bhī haiñ kitne aur haiñ kitne haamī bhī
aisā to mumkin hī nahīñ hai chāñd meñ koī daaġh na ho
jis meñ hogī kuchh bhī ḳhūbī us meñ hogī ḳhāmī bhī
merā maz.hab ishq kā maz.hab jis meñ koī tafrīq nahīñ
mere halqe meñ aate haiñ 'tulsī' bhī aur 'jāmī' bhī
yuuñ to sukūñ ke lamhe 'qaisar' hote haiñ anmol bahut
lekin apne kaam aatī hai dil kī be-ārāmī bhī