vo jo sab kā bahut chahītā thā
qabr kī sā.atoñ meñ tanhā thā
jis ne duniyā ko ḳhuub dekhā thā
us kī āñkhoñ meñ qahqaha sā thā
rañj kyā ḳhvāb ke bikharne kā
kuchh na thā ret kā gharauñdā thā
us ke āñgan meñ raushnī thī magar
ghar ke andar baḌā añdherā thā
vo bhī pathrā ke rah gayā āḳhir
us kī āñkhoñ meñ jo saverā thā
ek piñjrā udaas tanhā.ī
us ne kyā kyā ḳhudā se māñgā thā
shāḳh jhulsī huī thī aur us par
ek sahmā huā parinda thā
qahqahoñ kī barāt niklī thī
dard kī chīḳh kaun suntā thā
pul na thā aur sāmne us ke
ek tūfāñ-ba-dosh dariyā thā
ek ḳhushbū kā bāñTne vaalā
gandī bastī kā rahne vaalā thā
dukh meñ āḳhir ye khul gayā 'qaisar'
naam ik maslahat kā rishta thā