Qaisar Shameem

ubalte paniyon mein hun kahan ubaal ki tarah

Qaisar Shameem

Hooghly, West Bengal, India

1936
ubalte pāniyoñ meñ huuñ kahāñ ubaal kī tarah
maiñ aaj bhī huuñ tah-nashīñ guzishta saal kī tarah
diloñ meñ sab ke chubh rahī hai ik savāl kī tarah
tirī nigāh-e-yās bhī hai mere haal kī tarah
karūñgā tujh se guftugū zarā Thahar nimaT to luuñ
khaḌā hai koī beach meñ abhī savāl kī tarah
na pūchh mujh se haal dil ki in dinoñ hai zindagī
kisī urūj-e-dīda kī shab-e-zavāl kī tarah
vo ek yaad jo abhī hai dāġh-e-dil banī huī
phisal na jaa.e zehn se kisī ḳhayāl kī tarah
na pūchh 'qaisar'-e-hazīñ ajiib sī vo chiiz hai
bichhī huī hai shahr meñ jo ek jaal kī tarah
Top Urdushayar.com