kahāñ hai koī ḳhudā kā ḳhudā ke bandoñ meñ
ghirā huā huuñ abhī tak anā ke bandoñ meñ
na koī samt muqarrar na koī jā-e-qarār
hai intishār kā aalam havā ke bandoñ meñ
vo kaun hai jo nahīñ apnī maslahat kā ġhulām
kahāñ hai bū-e-vafā ab vafā ke bandoñ meñ
ḳhudā kare ki samā.at se maiñ rahūñ mahrūm
kabhī jo zikr ho merā riyā ke bandoñ meñ
sazā.eñ merī tarah hañs ke jhelne vaalā
nahīñ hai koī bhī ahd-e-sazā ke bandoñ meñ
nā āfiyat kī sahar hai na imbisāt kī shaam
huuñ ek umr se sahrā balā ke bandoñ meñ
suḳhan shanās hai kitnā ye pūchh luuñ 'qaisar'
nazar vo aa.e jo harf-o-navā ke bandoñ meñ