Qaisar Shameem

sulag rahi hai zamin ya siphar aankhon mein

Qaisar Shameem

Hooghly, West Bengal, India

1936
sulag rahī hai zamīñ yā sip.har āñkhoñ meñ
dhuāñ dhuāñ sā hai kyuuñ terā shahr āñkhoñ meñ
khule darīche ke bāhar hai kaun sā mausam
ki aag bharne lagī sard lahr āñkhoñ meñ
kahāñ hai niiñd ki ham ḳhvāb dekheñ amrit kā
jo shaam guzrī hai us kā hai zahr āñkhoñ meñ
ḳhafā hue bhī kisī se to kyā kiyā ham ne
bahut huā to rahā dil kā qahr āñkhoñ meñ
koī utārne baiThe to haath jal jaa.e
khiñchī hai ab ke vo tasvīr-e-dahr āñkhoñ meñ
vahī hai pyaas kā manzar vahī lahū 'qaisar'
hanūz phirtī hai kone kī nahr āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com