lamha lamha apnī zahrīlī bātoñ se Dastā thā
vo merā dushman ho kar bhī mere ghar meñ bastā thā
baap marā to bachche roTī ke TukḌe ko taras ga.e
ek tane se kitnī shāḳhoñ kā jīvan vābasta thā
afvāhoñ ke dhueñ ne koshish kī hai kālak malne kī
vo bikne kī shai hotā to har qīmat par sastā thā
ik manzar meñ peḌ the jin par chand kabūtar baiThe the
ik bachche kī laash bhī thī jis ke kañdhe par bastā thā
jis din shahr jalā thā us din dhuup meñ kitnī tezī thī
varna is bastī par 'anjum' bādal roz barastā thā