har ghar ke makīnoñ ne hī dar khole hue the
sāmān bañdhā rakkhā thā par khole hue the
kyā karte jo do chaar qadam thā lab-e-dariyā
jab hausle hī raḳht-e-safar khole hue the
ik us ke bichhaḌne kā qalaq sab ko huā thā
sarsabz daraḳhtoñ ne bhī sar khole hue the
sachchā.ī kī ḳhushbū kī ramaq tak na thī un meñ
vo log jo bāzār-e-hunar khole hue the
pahuñchā thā haqīqat ko koī ek hī 'anjum'
āñkheñ to ka.ī ahl-e-nazar khole hue the