Sahil Ajmeri

hum apne nam se hargiz kahin jaane nahin jate

Sahil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1929
ham apne naam se hargiz kahīñ jaane nahīñ jaate
tumhārā naam na lete to pahchāne nahīñ jaate
kabhī jo bhūle bhaTke se bhī maiḳhāne nahīñ jaate
ye na samjho ki un ke paas paimāne nahīñ jaate
kisī ke dil meñ kyā hai māthe pe likkhā nahīñ hotā
ki apne log bhī to ham se pahchāne nahīñ jaate
añdhere rahbarī karte haiñ parvānoñ kī sham.a tak
ki din meñ sham.a ke nazdīk parvāne nahīñ jaate
mire pā-e-talab mujh ko tumhāre dar pe le aa.e
kisī aur dar pe ab ham haath phailāne nahīñ jaate
unheñ chugne ko uḌ kar duur tak jaanā hī paḌtā hai
kisī bhī ghoñsle meñ ḳhud-ba-ḳhud daane nahīñ jaate
hamārī manzil-e-maqsūd to hai qabr se aage
vahāñ tak bhī hameñ ye log pahuñchāne nahīñ jaate
mire pur-soz naġhme tarjumānī haiñ mohabbat kī
ham un kī bazm meñ yuuñ hī ġhazal gaane nahīñ jaate
kabhī jab zaḳhm lagte haiñ to kāñTe chuTkī bharte haiñ
guloñ ke gul-numā ḳhanjar to pahchāne nahīñ jaate
hasīnoñ kī numā.ish meñ mohabbat to nahīñ dikhtī
ye pahchāne to jaate haiñ magar jaane nahīñ jaate
mohabbat ke pujārī apnī puujā aise karte haiñ
sanam-ḳhāne chale jaate haiñ but-ḳhāne nahīñ jaate
ka.ī rāz-e-mohabbat dil meñ poshīda hī rahte haiñ
ye gauhar jauharī se bhī to pahchāne nahīñ jaate
nichhāvar jaan karne ko ye 'sāhil' us pe jaate haiñ
ki jalne ke liye sham.a pe parvāne nahīñ jaate
Top Urdushayar.com