Sahil Ajmeri

zamane se meri zinda-dili dekhi nahin jati

Sahil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1929
zamāne se mirī zinda-dilī dekhī nahīñ jaatī
ḳhushī ho dūsroñ kī to ḳhushī dekhī nahīñ jaatī
ilāhī nuur se raushan haiñ rāheñ us ke bandoñ kī
vo aisī raushnī hai jo kabhī dekhī nahīñ jaatī
mohabbat hī se is duniyā meñ saare kaam chalte haiñ
kisī se kyoñ kisī kī dostī dekhī nahīñ jaatī
gharoñ kī shān-o-shaukat to gharoñ kī raushnī se hai
magar jalte gharoñ kī raushnī dekhī nahīñ jaatī
agar izzat hī luT jaa.e to jiinā bojh lagtā hai
kisī ma.asūm kī be-hurmatī dekhī nahīñ jaatī
pilā dī mast āñkhoñ se bachī na mai jo miinā meñ
ki saaqī se mirī tishna-labī dekhī nahīñ jaatī
sambhālūñ hosh apne to sambhālūñ dil jigar kaise
tumhārī muskurātī be-ruḳhī dekhī nahīñ jaatī
tabī.at is qadar machlī ke tauba toḌ dī ham ne
kareñ kyā ham se sāvan kī jhaḌī dekhī nahīñ jaatī
ḳhushī ke jashn meñ sadme numāyāñ aise hote haiñ
kisī ġhamgīn chehre par hañsī dekhī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com