ḳhushī jo sāya-e-ġham meñ rahe phir vo ḳhushī kyoñ ho
grahan jo chāñd ko lag jaa.e to phir chāñdnī kyoñ ho
adā-e-husn-e-dil-kash ko zarā samjhe to ye duniyā
tavajjoh is meñ pinhāñ hai ye un kī be-ruḳhī kyoñ ho
ise kuchh aur hī kahiye ki dil dukhtā hai ye sun kar
jab is meñ maut shāmil hai to phir ye zindagī kyoñ ho
agar miliye kisī se aap to dil khol kar miliye
ḳhulūs-e-dil hī jab na ho to phir mil kar ḳhushī kyoñ ho
ḳhushī ke vaqt meñ kyoñ ḳhaas sadme yaad aate haiñ
ki hoñToñ pe hañsī ke saath āñkhoñ meñ namī kyoñ ho
agar lālach se jannat ke jahannum kī ye dahshat se
kiye jo umr bhar sajde bhī to ye bandagī kyoñ ho
jahāñ meñ aur bhī ik ajnabī baḌh jaa.e to kyā hai
na ho paa.e kisī se dostī to dushmanī kyoñ ho
tamannā ḳhaas dil kī un se is Dar se nahīñ kahte
ki āġhāz-e-mohabbat hī meñ un se dushmanī kyoñ ho
hameñ piine kī hasrat hī nahīñ baaqī hai ab 'sāhil'
bujhā dī āñso.oñ ne pyaas to phir tishnagī kyoñ ho