chorī kaisī bhī ho ye lat bhī burī hotī hai
dil churā lene kī aadat bhī burī hotī hai
achchhī aadat kā nafā log uThā lete haiñ
had se ziyāda to sharāfat bhī burī hotī hai
ye zamāna baḌā nāzuk hai sambhal kar chaliye
jān-e-man itnī nazākat bhī burī hotī hai
ḳhuub shah detī hai ye aur gunah karne ko
kyā ḳhudā aap kī rahmat bhī burī hotī hai
dilbaroñ ko hai ye milne kā sunahrī mauqa.a
kaun kahtā hai qayāmat bhī burī hotī hai
pyaar kī suuī bhī chubhtī hai rafū karne meñ
chāk-e-dil kī to marammat bhī burī hotī hai
pursish-e-hāl ko aa.e haiñ vo ġham de ke mujhe
kaise kah deñ ki ayādat bhī burī hotī hai
konā haath aa.e to pallū ko pakaḌ lete haiñ log
thoḌī anjānī ijāzat bhī burī hotī hai
aañch aa.e jo usūloñ pe to saudā kaisā
yuuñ usūloñ kī tijārat bhī burī hotī hai
us ne 'sāhil' tumheñ dīvāna banā rakkhā hai
haa.e kambaḳht mohabbat bhī burī hotī hai