Sahil Ajmeri

hum apni zindagi se pyar na karte to kya karte

Sahil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1929
ham apnī zindagī se pyaar na karte to kyā karte
ye ne.amat miltī hai ik baar na karte to kyā karte
mohabbat kā agar bevpār na karte to kyā karte
hai duniyā husn kā bāzār na karte to kyā karte
mohabbat aisī majbūrī meñ aksar ho hī jaatī hai
tum itne pyāre ho ham pyaar na karte to kyā karte
bure logoñ meñ achchhā.ī kā unsur bhī to hotā hai
hifāzat gar guloñ kī ḳhaar na karte to kyā karte
adhūre kaam karne se to dil bhartā nahīñ pyāre
mukammal dil ke kārobār na karte to kyā karte
ḳhudāyā aap kī rahmat kā rakhnā thā bharam ham ko
gunāhoñ kā agar ambār na karte to kyā karte
dikhāve kī ye duniyā hai dikhāvā karnā paḌtā hai
hasīnān-e-jahāñ siñgār na karte to kyā karte
ḳhafā honā to ik karvaT badalne vaalī fitrat hai
to vo karvaT badal kar pyaar na karte to kyā karte
kudūrat dil meñ ho to phir mohabbat ho nahīñ saktī
safā.ī dil kī thī darkār na karte to kyā karte
bharosa naav pe rakhte to phir ham Dolte rahte
rifāqat lahroñ se patvār na karte to kyā karte
hameñ is zindagī meñ kuchh na kuchh to karnā thā 'sāhil'
mohabbat bhī agar ik baar na karte to kyā karte
Top Urdushayar.com