din-ba-din safha-e-hastī se miTā jaatā huuñ
ek jiine ke liye kitnā marā jaatā huuñ
apne pairoñ pe khaḌā boltā paikar huuñ magar
āhaToñ kī tarah mahsūs kiyā jaatā huuñ
tū bhī jaise mirī āñkhoñ meñ khiñchā jaatā hai
maiñ bhī jaise tirī sāñsoñ samā jaatā huuñ
nuur kī shāḳh se TuuTā huā pattā huuñ maiñ
vaqt kī dhuup meñ ma.adūm huā jaatā huuñ
saath chhūTā to kaḌā vaqt zarūr aa.egā
aap kahte haiñ to be-shak maiñ chalā jaatā huuñ
hādse jitnā mujhe duur kiye dete haiñ
utnā manzil se maiñ nazdīk huā jaatā huuñ
dekhne meñ to maiñ zarra nazar aatā huuñ 'salīm'
dekhte dekhte ḳhurshīd pe chhā jaatā huuñ