Sardar Saleem

mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna

Sardar Saleem

Dabeerpura, Telangana, India

1973
mauja-e-reg-e-ravān-e-ġham meñ bah ke dekhnā
muflisī meñ dostoñ ke saath rah ke dekhnā
dāman-e-iz.hār meñ jazbe samā sakte haiñ nahīñ
baat phir bhī baat hai ik baar kah ke dekhnā
ḳhud ko miTTī kā gharauñdā farz hī karnā nahīñ
āñdhiyoñ kī zad meñ rahnā aur Dhah ke dekhnā
dil ke sannāTe meñ ḳhushbū ke darīche khul ga.e
dastakoñ ke phuul darvāze pe mahke dekhnā
kāsa-e-fitrat meñ phir ḳhvāhish ke sikke baj uThe
phir parinde saañs kī Daalī pe chahke dekhnā
be-asar hī kyuuñ na ho par apnī zaatī soch ho
dosto taḳhlīq-e-fan kā karb sah ke dekhnā
bādshāhat ke maze haiñ ḳhāksārī meñ 'salīm'
ye nazāra yaar ke kūche meñ rah ke dekhnā
Top Urdushayar.com