baḌh rahe haiñ shaam ke mauhūm saa.e chal paḌo
zindagī kī laash kāñdhoñ par uThā.e chal paḌo
ḳhair-maqdam kar rahī haiñ Thokareñ kis shaan se
paañv ke chhāle ye kah kar muskurā.e chal paḌo
oḌh lo sar par dukānoñ daftaroñ ke sā.ebāñ
jān-levā haiñ makānoñ ke kirā.e chal paḌo
phir qudūm-e-shauq ko chhūne lagī āvārgī
phir bulāve kūcha-e-jānāñ se aa.e chal paḌo
aaj TuuTī hai lab-e-ehsās se mohar-e-sukūt
aaj tanhā.ī ne talve gudgudā.e chal paḌo
muḌ ke mat dekho zamāne ko ki but ban jāoge
aañkh mīche haath bāñdhe sar jhukā.e chal paḌo
vaqt ke sahrā meñ nañge paañv Thahre ho 'salīm'
dhuup kī shiddat yakāyak baḌh na jaa.e chal paḌo