ajab haiñ sūrat-e-hālāt ab ke
huī barsāt meñ barsāt ab ke
badan meñ phuul bhī chubhne lage haiñ
bahut nāzuk haiñ ehsāsāt ab ke
zarā chaukannā chaukannā huuñ maiñ bhī
hai duniyā bhī lagā.e ghaat ab ke
banā dūñgā tire chehre kā jhūmar
lagā jo chāñd mere haath ab ke
lagī hai shart mere āñsuoñ kī
samundar ko milegī maat ab ke
'salīm' alfāz buude lag rahe haiñ
hai aisī shiddat-e-jazbāt ab ke