Sardar Saleem

kabhi surKHi se likhta hun kabhi kajal se likhta hun

Sardar Saleem

Dabeerpura, Telangana, India

1973
kabhī surḳhī se likhtā huuñ kabhī kājal se likhtā huuñ
maiñ dil kī baat jazboñ kī harī koñpal se likhtā huuñ
maiñ terā naam jab likhtā huuñ apne dil kī taḳhtī par
gulāb-o-mushk se zamzam se gañgā-jal se likhtā huuñ
bujhā kar zahr se rakkhe haiñ yāroñ ne qalam apne
magar maiñ to vahī kevḌe se aur sandal se likhtā huuñ
ḳhushī kī dāstāñ banjar zamīnoñ kī hathelī par
gulābī nuur barsāte hue bādal se likhtā huuñ
'salīm' aatī hai jab sachchā.ī likhne kī mirī baarī
fasīl-e-shahr par jaltī huī mash.al se likhtā huuñ
Top Urdushayar.com