banā degī zamīñ ko aaj shāyad āsmāñ bārish
ki dho.e jā rahī haiñ ghar kī saarī khiḌkiyāñ bārish
na.e sadmāt kā sailāb aayā dil kī bastī meñ
nigal jaa.e na terī yaad kī ye kashtiyāñ bārish
khulī jo aañkh to chehre pe jagmag thī phuvāroñ kī
ki milne aa.ī thī kal raat mujh se nā-gahāñ bārish
badan se jab alag kartī ho tum bhīge hue kapḌe
chhamā-chham nāchtī hai jañgaloñ ke darmiyāñ bārish
'salīm' āñkhoñ se sahrāoñ kā ḳhālī-pan Tapaktā hai
mire andar barastī hai kahīñ ban kar dhuāñ bārish