ek hī zinda bachā hai ye nirālā pāgal
jhuuT ke shahr meñ sach bolne vaalā pāgal
hāthoñ meñ phuul liye aa.e haiñ sab log jahāñ
le ke aayā hai vahāñ paañv kā chhālā pāgal
us kī āñkhoñ meñ ajab nuur thā dānā.ī kā
tum ne mahfil se jise kah ke nikālā pāgal
dhuup hai phailī huī sharq se tā-ġharb magar
bāñTtā phirtā hai duniyā ko ujālā pāgal
jis meñ rakkhe huuñ mohabbat ke ḳhazāne bhar kar
is tijorī ko lagāte nahīñ taalā pāgal
kaun samjhā.e tirī sar-phirī kashtī ko 'salīm'
ḳhūnīñ dariyā se paḌā hai tirā paalā pāgal