Sardar Saleem

aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

Sardar Saleem

Dabeerpura, Telangana, India

1973
aaj dīvāne kā zauq-e-dīd puurā ho gayā
tujh ko dekhā aur us ke ba.ad andhā ho gayā
dhuup ke hāthoñ pe bai.at kar chukī haiñ Tahniyāñ
rañg saare sabz pattoñ kā sunahrā ho gayā
kaan dhartā hī nahīñ koī mirī āvāz par
aisā lagtā hai ki saarā shahr murda ho gayā
sāya-e-dīvār ko oḌhe hue the sab ke sab
gir ga.ī dīvār ghar kā ghar barhana ho gayā
jism o jaañ par sozish-e-ġham kā huā yaksāñ asar
sūrateñ sañvlā ga.iiñ jab dard gahrā ho gayā
ḳhvāhishātī irtiqā meñ dab ga.ī hai shaḳhsiyat
nafs moTā ho gayā aur shaḳhs dublā ho gayā
zindagī kī yātrā meñ saath kyā chhūTā tirā
muḳhtasar sā rāsta pal-bhar meñ lambā ho gayā
'ġhālib'-e-dānā se pūchho ishq meñ paḌ kar salīm
ek ma.aqūl aadmī kaise nikammā ho gayā
Top Urdushayar.com