fikr o ehsās ke tapte hue manzar tak aa
mere lafzoñ meñ utar kar mire andar tak aa
kahīñ aisā na ho ruk jaa.eñ qalam kī sāñseñ
ai mirī jān-e-ġhazal apne suḳhan-var tak aa
varna ḳhvāboñ kī tapish tujh ko jalā Dālegī
merī jaagī huī nīndoñ ke samundar tak aa
sard kamre kī sulagtī huī tanhā.ī meñ
merī sāñsoñ se nikal kar mire bistar tak aa
dar-o-dīvār mo.attar hoñ tirī ḳhushbū se
dil meñ mat aa magar ik baar mire ghar tak aa
us se kahnā hai 'salīm' aglī mulāqāt meñ ye
ḳhvāb ban kar kabhī āñkhoñ ke muqaddar tak aa