Sardar Saleem

KHamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge

Sardar Saleem

Dabeerpura, Telangana, India

1973
ḳhamoshī meñ chhupe lafzoñ ke huliye yaad ā.eñge
tirī āñkhoñ ke be-āvāz lahje yaad ā.eñge
tasavvur Thokareñ khāte hue qadmoñ se uljhegā
ubhartī Dūbtī manzil ke raste yaad ā.eñge
mujhe ma.alūm hai dam toḌ degī āgahī merī
jo lamhe bhūlne ke haiñ vo lamhe yaad ā.eñge
kabhī apne akele-pan ke baare meñ jo sochoge
tumheñ TuuTe hue kuchh ḳhaas rishte yaad ā.eñge
kuchh aisā ho ki tasvīroñ meñ jal jaa.e tasavvur bhī
mohabbat yaad aa.egī to shikve yaad ā.eñge
jo terā jism chhū kar merī sāñsoñ meñ samāte the
har aahaT par vahī ḳhushbū ke jhoñke yaad ā.eñge
bhale aurāq-e-māzī chaaT jaa.e vaqt kī dīmak
jo qisse yaad aane haiñ vo qisse yaad ā.eñge
jahāñ tum se bichhaḌne kā sabab āñkheñ bhigo.eñge
vahīñ apnī mohabbat ke vasīle yaad ā.eñge
'salīm' āḳhir ga.e vaqtoñ kī qabreñ khodiye kyūñ-kar
dil-e-māsūm ko apne khilaune yaad ā.eñge
Top Urdushayar.com