Rasikh Irfani

main jang jit ke jabr-o-ana ki haar gaya

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
maiñ jañg jiit ke jabr-o-anā kī haar gayā
adū pe rahm kā ehsās mujh ko maar gayā
amīr-e-shahr ke afv-o-karam ko kyā kahiye
khule vo log ki ḳhauf-e-salīb-o-dār gayā
ġhurūr-e-kasrat-e-lashkar na mere kaam aayā
maiñ so rahā thā ki shab-ḳhūñ ġhanīm maar gayā
mirā nasīb ki bikhrī thī Daal Daal mirī
koī ḳhizāñ kā bagūlā mujhe sañvār gayā
sadī kī raat guzārī umiid ke bal par
bujhā charāġh-e-sahar karb-e-intizār gayā
kisī ne chaap bhī jaate hue na us kī sunī
jo shaḳhs barsoñ tire shahr meñ guzār gayā
shab-e-firāq ke dariyā meñ kuud kar 'rāsiḳh'
tamām qarz vafā ke koī utaar gayā
Top Urdushayar.com