Parveen Kumar Ashk

koi KHushbu na phul hun main to

Parveen Kumar Ashk

1951
koī ḳhushbū na phuul huuñ maiñ to
sar se pā tak babūl huuñ maiñ to
terī dargāh se gila kaisā
ḳhud ko bhī kab qubūl huuñ maiñ to
chāñdnī mujh ko sajde kartī hai
tere qadmoñ kī dhuul huuñ maiñ to
jaane mujh se bichhaḌ gayā hai kaun
har janam meñ malūl huuñ maiñ to
tifl-e-dil kī duā likhe jis ko
us ġhazal kā schōl huuñ maiñ to
kyuuñ dikhāte ho mujh ko talvāreñ
lājvantī kā phuul huuñ maiñ to
zaḳhm khātā huuñ shukr kartā huuñ
haañ ḳhilāfat usuul huuñ maiñ to
'ashk' is kārobārī duniyā meñ
aadmī ik fuzūl huuñ maiñ to
Top Urdushayar.com