Rasikh Irfani

saya sa ek KHayal ki pahnaiyon mein tha

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
saaya sā ik ḳhayāl kī pahnā.iyoñ meñ thā
sāthī koī to raat kī tanhā.iyoñ meñ thā
har zaḳhm mere jism kā merā gavāh hai
maiñ bhī sharīk apne tamāshā.iyoñ meñ thā
ġhairoñ kī tohmatoñ kā havāla bajā magar
merā bhī haath kuchh mirī rusvā.iyoñ meñ thā
TuuTe hue badan pe lakīroñ ke jaal the
qarnoñ kā aks umr kī parchhā.iyoñ meñ thā
girdāb-e-ġham se kaun kisī ko nikāltā
har shaḳhs ġharq apnī hī gahrā.iyoñ meñ thā
naġhmoñ kī lai se aag sī dil meñ utar ga.ī
sur ruḳhsatī ke soz kā shahnā.iyoñ meñ thā
'rāsiḳh' tamām gaañv ke sūkhe paḌe the khet
bārish kā zor shahr kī añgnā.iyoñ meñ thā
Top Urdushayar.com