javāñ rutoñ meñ lagā.e hue shajar apne
nishān sabt raheñge Dagar Dagar apne
ghaTā.eñ TuuT ke barseñ jūñhī khule bādal
sukhā rahe the parinde bhī bāl-o-par apne
hurūf pyaar ke likkhe ga.e sabā par bhī
qalam ke bal pe haiñ charche nagar nagar apne
ajiib log haiñ mismār kar ke shahroñ ko
basā rahe haiñ ḳhalāoñ meñ jā ke ghar apne
samar kisī kā ho shīrīñ ki zahr se kaḌvā
mujhe haiñ jaan se pyāre sabhī shajar apne
hamārā fan bhī sahāboñ meñ kho gayā 'rāsiḳh'
falak pe pahuñche haiñ yārān-e-be-hunar apne