Rasikh Irfani

aas husn-e-guman se TuTi

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
aas husn-e-gumān se TuuTī
shāḳh phal ke nishān se TuuTī
mil ga.ī ḳhaak ho ke miTTī meñ
iiñT jo bhī makān se TuuTī
arz-e-ahvāl nā-shanāsoñ se
rag anā kī zabān se TuuTī
jis pe dār-o-madār-e-kashtī thā
Dor vo bādbān se TuuTī
mas.ale dostī ke hal na hue
guftugū darmiyān se TuuTī
dast-e-dushman se tiir kyā chhūTā
ek bijlī kamān se TuuTī
baab kirnoñ ke khul ga.e 'rāsiḳh'
sadd-e-zulmat azaan se TuuTī
Top Urdushayar.com