Rasikh Irfani

kitni ThanDi thi hawa qarya-e-barfani ki

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
kitnī ThanDī thī havā qarya-e-barfānī kī
jam ga.ī dil meñ kasak shām-e-zamistānī kī
hādsa koī nayā raah pe guzrā hogā
dhuul har chehre pe bikhrī hai pareshānī kī
maiñ jahāñ jā.ūñ vahīñ maut kī tahvīl meñ huuñ
teġh ik laTkī hai har saañs pe nigrānī kī
mere tevar pe mirā nām-o-nasab kanda hai
dil kā ā.īna hai taḳhtī mirī peshānī kī
shāḳh-e-mizhgāñ pe lahakte hue ashkoñ ke gulāb
fasl panpī hai bahut ḳhitta-e-bārānī kī
kyā ḳhabar kis kā safīna sar-e-sāhil pahuñche
lahr ḳhatre se kahīñ ūñchī hai tuġhyānī kī
hāsil-e-kisht kī ho kaise tavaqqo 'rāsiḳh'
sūkhe nāloñ meñ kahīñ buuñd nahīñ paanī kī
Top Urdushayar.com