Rasikh Irfani

garm har lamha lahu jism ke andar rakhna

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
garm har lamha lahū jism ke andar rakhnā
ḳhushk āñkheñ hoñ magar dil meñ samundar rakhnā
baat niklegī jūñhī ghar se parā.ī hogī
paañv kuchh soch ke dahlīz se bāhar rakhnā
zulmat-e-shab meñ kahīñ ḳhud hī na Thokar khaa.e
dushman-e-jāñ ke bhī raste meñ na patthar rakhnā
zar, zamīñ, zor kā saudā jo samā.e sar meñ
rū-ba-rū naqsha-e-anjām-e-sikandar rakhnā
chaḌhte sūraj kī chamak apnī jagah hai lekin
guzrī rātoñ ke bhī kuchh zehn meñ manzar rakhnā
kuchh na pā.egā anā bech ke darbāroñ se
kaisī hī bhiiḌ bane takiya ḳhudā par rakhnā
is bulandī kā safar sahal nahīñ hai 'rāsiḳh'
har qadam rāh-e-mohabbat pe sambhal kar rakhnā
Top Urdushayar.com