Rasikh Irfani

kisi daraaz mein rakhna ki taq par rakhna

Rasikh Irfani

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1912-1990
kisī darāz meñ rakhnā ki taaq par rakhnā
mire ḳhutūt-e-mohabbat sambhāl kar rakhnā
kisī bhī daur meñ shāyad maiñ tere kaam aa.uuñ
judā ho shauq se kuchh rābta magar rakhnā
ghaTā.eñ yaas kī chhā.eñgī chhaT bhī jā.eñgī
hujūm-e-dard meñ qaabū havās par rakhnā
ḳhudā kare ki mile tujh ko manzil-e-maqsūd
farāz pā ke nasheboñ pe bhī nazar rakhnā
anā ko bech ke jiinā bhī koī jiinā hai
balā se jaan jo jaatī hai jaa.e sar rakhnā
kabhī ho ghar meñ jo merā bhī intizār tujhe
añdherī raat meñ hargiz khulā na dar rakhnā
ḳhudā ke haath hai maut o hayāt ai 'rāsiḳh'
havas ke dar pe mohabbat ko mo'tabar rakhnā
Top Urdushayar.com