shikast maan ke tasḳhīr kar liyā hai mujhe
ġhazāl-e-dasht ne zanjīr kar liyā hai mujhe
maiñ muntashir thā kisī aks-e-rā.egāñ kī tarah
nigāh-e-shauq ne tasvīr kar liyā hai mujhe
bikhar gayā thā sar-e-shahr-e-āshiyāna maiñ
kisī ke rabt ne ta.amīr kar liyā hai mujhe
nikal ke jā.ūñ kahāñ maiñ hisār-e-gardish se
safar ne paañv meñ zanjīr kar liyā hai mujhe
sukūt-e-ġham se badan ḳhaak ho chalā thā magar
tilism-e-lams ne iksīr kar liyā hai mujhe
mire suḳhan meñ samā kar kitāb-rū ne mirī
ḳhud apne husn kī tafsīr kar liyā hai mujhe
maiñ ik ḳhayāl sar-e-rahguzār-e-shab thā 'sa.īd'
kisī ke ḳhvāb ne ta.abīr kar liyā hai mujhe