kyā chale kūcha-e-jānāñ kī havā mere saath
roz aa lagtā hai ik dasht nayā mere saath
ek zamāna hai yahāñ dast-o-garebāñ mujh se
tū ne kyā dāman-e-dil bāñdh liyā mere saath
ghar ke āñgan se parinde bhī pare rahte haiñ
jab se rahtā hai koī dost ḳhafā mere saath
roz-e-avval se huuñ maiñ sabz-e-mohabbat kā asiir
sāya-afgan hai daraḳhtoñ kī duā mere saath
kuchh mirā ahd bhī qātil hai to kuchh bahr-e-junūñ
zindagī rakhtī hai ik hashr bapā mere saath
dar-ba-dar ho ke bhī haTtā nahīñ raste se faqīr
mo.ajize kartī hai vo gardish-e-pā mere saath
baat kartā hai sahīfoñ meñ koī aur 'sa.īd'
pesh aatā hai koī aur ḳhudā mere saath