terī daulat rah jā.egī tere ghar chaubāroñ tak
mere akhshar sair kareñge sūraj chāñd sitāroñ tak
baat kafan kī niklī thī par raste meñ nīlām huī
rañg-birañgī chunarī ho ga.ī jab pahuñchī aḳhbāroñ tak
jis ko jaisā rog diyā hai us kā vaisā chāra-gar
bīmāroñ tak ved-jī pahuñche shā.er ishq ke māroñ tak
mai-ḳhāne meñ aur to kyā thā ham-zaḳhmoñ kī mahfil thī
bechāroñ se shurūa huī thī ḳhatm huī bechāroñ tak
jamhūrī tahzīb yahī hai sabkī apnī had-bandī
jantā kī had ek mohar tak netāoñ kī na.aroñ tak