jo ham terī āñkhoñ ke taare hue haiñ
ka.ī ratjagoñ ke sañvāre hue haiñ
barābar pe chhūTī mohabbat kī baazī
na jiite hue haiñ na haare hue haiñ
unhīñ kī nazar meñ utarnā hai ham ko
jo ham ko nazar se utāre hue haiñ
qalam yaad coffē bharam chand panne
bas itne meñ bhī din guzāre hue haiñ
ġhazal kā hunar sirf hāsil ġhamoñ kā
ye ash.ār ashkoñ se khāre hue haiñ