nayā ab silsila joḌā na jaa.e
purānoñ ko magar toḌā na jaa.e
mujhe jo chhoḌ jaanā chāhtā hai
agar jaa.e to phir thoḌā na jaa.e
bahut nuqsān kartī hai ḳhudī kā
anā kā ruḳh agar moḌā na jaa.e
tamannā āsmānoñ ke safar kī
magar āñgan ki bas chhoḌā na jaa.e