Shahram Sarmadi

ghubar-e-dard mein rah-e-najat aisa hi

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
ġhubār-e-dard meñ rāh-e-najāt aisā hī
rahā hai koī mire saath saath aisā hī
to bhuul paane meñ dushvāriyāñ bahut hoñgī
kiyā hai pyaar had-e-mumkināt aisā hī
baras guzar ga.e us se judā hue lekin
ajiib bain hai mauj-e-furāt aisā hī
use bhī os meñ Duubā huā lagā thā badan
mujhe bhī kuchh huā mahsūs raat aisā hī
maiñ jis se ḳhauf-zada thā shurūa se āḳhir
tamāshā kar ga.ī ye kā.enāt aisā hī
koī bhī rañg mayassar na aa sakā to phir
qubūl kar liyā rañg-e-hayāt aisā hī
Top Urdushayar.com