Shahram Sarmadi

KHala sa Thahra hua hai ye chaar-su kaisa

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
ḳhalā sā Thahrā huā hai ye chār-sū kaisā
ujaaḌ ho gayā ik shahr-e-rañg-o-bū kaisā
tamām halqa-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl hairāñ hai
savād-e-chashm meñ aayā ye māh-rū kaisā
kabhī jo fursat-e-yak-lamha bhī mile to dekh
ki dasht-e-yād meñ bikhrā paḌā hai tū kaisā
agarche shora hī shora sab ilāqa-e-dil
tujhe rakkhā hai magar sabz o pur-numū kaisā
sarā-e-dil meñ ka.ī din se shaam hote hī
dhuāñ sā phailne lagtā hai kū-ba-kū kaisā
zarā jo socheñ to ye mas.ala bhī hal ho jaa.e
ki honā chāhiye ab rañg-e-ārzū kaisā
Top Urdushayar.com