ba-rāh-e-rāst nahīñ phir bhī rābta sā hai
vo jaise yād-e-mazāfāt meñ chhupā sā hai
kabhī talāsh kiyā to vahīñ milā hai vo
nafas kī āmad-o-shud meñ jahāñ ḳhalā sā hai
ye taare kis liye āñhkeñ bichhā.e baiThe haiñ
hameñ to jāgte rahne kā āriza sā hai
ye kā.enāt agar vaisī ho to kyā hogā
hamāre zehn meñ ḳhāka jo ik banā sā hai
zamīñ madār pe raqsāñ hai sub.h o shaam mudām
kure ke chaar taraf ik muhāsara sā hai