yaad kī bastī kā yuuñ to har makāñ ḳhālī huā
bas gayā thā jo ḳhalā sā vo kahāñ ḳhālī huā
raat bhar ik aag sī jaltī rahī thī aañkh meñ
aur phir din bhar musalsal ik dhuāñ ḳhālī huā
ḳhud-ba-ḳhud ik dasht ne tashkīl paa.ī aur phir
lamha bhar meñ ek shahr-e-be-karāñ ḳhālī huā
aaj jab us lutf-e-sāya kī zarūrat thī hameñ
kam-nasībī ye ki dast-e-mehrbāñ ḳhālī huā
rafta rafta bhar gayā har suud se apnā bhī jī
rafta rafta dil se ehsās-e-ziyāñ ḳhālī huā
aaj se ham bhī akele ho ga.e is bhiiḌ meñ
dhyān meñ thā jo bharā sā āsmāñ ḳhālī huā