fazā hotī ġhubār-ālūda sūraj Dūbtā hotā
ye nazzāra bhī dilkash thā agar maiñ thak gayā hotā
nadāmat sā.ateñ aa.iiñ to ye ehsās bhī jaagā
ki apnī zaat ke andar bhī thoḌā sā ḳhalā hotā
guzishta roz o shab se aaj bhī ik rabt sā kuchh hai
vagarna shahr bhar meñ maarā maarā phir rahā hotā
ajab sī narm āñhkeñ gandumī āvāz ḳhushbūeñ
ye jis kā aks haiñ us shaḳhs kā kuchh to pata hotā
masā.il jaise ab darpesh haiñ shāyad nahīñ hote
agar kār-e-junūñ maiñ ne salīqe se kiyā hotā