samundar tishnagī vahshat rasā.ī chashma-e-lab tak
ye saarā khel in āñkhoñ se dekhā tere kartab tak
tamāsha-gāh-e-duniyā meñ tamāshā.ī rahe ham bhī
sahar kī aarzū ham ne bhī kī thī jalva-e-shab tak
na jaane vaqt kā kyā faisla hai der kitnī hai
ghaḌī kī sūiyāñ bhī ho chukī haiñ muzmahil ab tak
kabhī fursat milī to āsmāñ se ham ye pūchheñge
rahegā tū hamāre sar pe yuuñ hī mehrbāñ kab tak
ḳhudā jaane kahāñ tak kāmyābī haath aa.ī hai
ki apnī baat to pahuñchā chukā apne muḳhātab tak