Shahram Sarmadi

mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
mujhe taslīm be-chūn-o-churā tū haq-ba-jānib thā
mire anfās par lekin ajab pindār ġhālib thā
vagarna jo huā us se sivā.e rañj kyā hāsil
magar haañ maslahat kī rau se dekheñ to munāsib thā
maiñ tere ba.ad jis se bhī milā tīkhā rakhā lahja
ki is be-laus chāhat ke evaz itnā to vājib thā
maiñ kuchh pūchhūñ bhī to akasr javāban kuchh nahīñ kahtā
guzishta ek arse se jo bas mujh se muḳhātib thā
maiñ umr-e-rafta kī baazī se itnā hī samajhtā huuñ
shikast o fat.h do harf-e-izāfī khel jālib thā
Top Urdushayar.com