matā-e-pās-e-vafā kho nahīñ sakūñgā maiñ
kisī kā tere sivā ho nahīñ sakūñgā maiñ
sadā rahegā tar-o-tāza shāḳh-e-dil par tū
fuzūl rañj ki kuchh bo nahīñ sakūñgā maiñ
tū āñhkeñ muuñd le to niiñd aa.e mujh ko bhī
tū jāntā hai ki yuuñ so nahīñ sakūñgā maiñ
mujhe virāsat-e-ġham se bhī aaq kar Daalā
ye kaisā lutf ki ab ro nahīñ sakūñgā maiñ
bahut hasīñ hai jahāñ, zindagī bhī ḳhuub magar
mazīd bār-e-nafas Dho nahīñ sakūñgā maiñ